kabhī kitāboñ meñ phuul rakhnā kabhī daraḳhtoñ pe naam likhnā
hameñ bhī hai yaad aaj tak vo nazar se harf-e-salām likhnā
vo chāñd chehre vo bahkī bāteñ sulagte din the mahaktī rāteñ
vo chhoTe chhoTe se kāġhazoñ par mohabbatoñ ke payām likhnā
gulāb chehroñ se dil lagānā vo chupke chupke nazar milānā
vo ārzūoñ ke ḳhvāb bunñā vo qissa-e-nā-tamām likhnā
mire nagar kī hasīñ fazāo kahīñ jo un kā nishān paao
to pūchhnā ye kahāñ base vo kahāñ hai un kā qayām likhnā
khulī fazāoñ meñ saañs lenā abas hai ab to ghuTan hai aisī
ki chāroñ jānib shajar khaḌe haiñ salīb-sūrat tamām likhnā
ga.ī rutoñ meñ 'hasan' hamārā bas ek hī to ye mashġhala thā
kisī ke chehre ko sub.h kahnā kisī kī zulfoñ ko shaam likhnā