khilne lage haiñ phuul aur patte hare hue
lagte haiñ peḌ saare ke saare bhare hue
sūraj ne aañkh khol ke dekhā zamīn ko
saa.e añdherī raat ke jhaT se hare hue
mil kar kareñ vo kaam jo pahle kiye ga.e!
arsa huā hai kaam bhī aise kare hue
kaisī ajiib rut hai parinde gharoñ se ab
nikle nahīñ haiñ ḳhauf ke maare Dare hue
aatā hai roz ḳhvāb meñ vo paikar-e-jamāl
āñkhoñ kī gāgaroñ ko hayā se bhare hue
phir se kisī pe zulm kisī ne kiyā hai aaj
dekhe haiñ ghoñsloñ meñ parinde mare hue
mash.al liye hue koī aa.egā ab 'hasan'
baiThe haiñ kab se taaq meñ āñkheñ dhare hue