Parvindar shokh

guzar jae jo aankhon se wo phir manzar nahin rahta

Parvindar shokh

1964
guzar jaa.e jo āñkhoñ se vo phir manzar nahīñ rahtā
judā ho kar judā hone kā koī Dar nahīñ rahtā
miTeñ bechainiyāñ āḳhir dar-o-dīvār kī kaise
gharoñ meñ log rahte haiñ diloñ meñ ghar nahīñ rahtā
dikhā.ī kis tarah de shahr meñ koī mujhe āḳhir
sivā us ke nazar meñ ab koī manzar nahīñ rahtā
ye hairat hai ke mujh ko ġham nahīñ hai us ko kho kar bhī
pareshāñ vo bhī hai vo ḳhush mujhe pā kar nahīñ rahtā
nahīñ detī ijāzat jhuuT kahne kī ye ḳhuddārī
agar sach bolte haiñ mahfiloñ meñ sar nahīñ rahtā
jise vo 'shoḳh' apne haath se chhū kar guzar jaa.e
vo pathar phir ziyāda der tak patthar nahīñ rahtā
Top Urdushayar.com