Parvindar shokh

zara socha to kya kya zehn se manzar nikal aae

Parvindar shokh

1964
zarā sochā to kyā kyā zehn se manzar nikal aa.e
mire ehsās ke kuchh khañDaroñ se ghar nikal aa.e
lageñ dene sabaq vo phir parindoñ ko uḌānoñ kā
zarā se shahr meñ jab chīñtiyoñ ke par nikal aa.e
ye aalam hai ki jab bhī ghar meñ kuchh DhūñDne baiThā
purāne kāġhazoñ se yaad ke manzar nikal aa.e
lagā jab yuuñ ki uktāne lagā hai dil ujāloñ se
use mahfil se us kī alvidā.a kah kar nikal aa.e
dikhā.ī de kabhī ye mo.ajiza bhī mujh ko ulfat meñ
kisī shab chāñd ban kar vo mirī chhat par nikal aa.e
mile haiñ zaḳhm jab se 'shoḳh' vo gulshan se bartā hai
bharosa kuchh nahīñ kis phuul se patthar nikal aa.e
Top Urdushayar.com