Parvindar shokh

pyase ko har qatra sagar lagta hai

Parvindar shokh

1964
pyāse ko har qatra sāgar lagtā hai
har manzar ab us kā manzar lagtā hai
ham ne apne qad ko itnā khīñch liyā
jab bhī uThte haiñ chhat meñ sar lagtā hai
aayā hai vo jab to koī baat kare
us kī is ḳhāmoshī se Dar lagtā hai
hotī hai tab apne kī pahchān hameñ
piiTh meñ jab bhī koī ḳhanjar lagtā hai
miltā hai vo jab bhī aa kar ḳhvāboñ meñ
yādoñ kā ek mela shab-bhar lagtā hai
din-bhar ḳhvāb nazar aate haiñ mahloñ ke
shaam Dhale fōt-pāth pe bistar lagtā hai
varna to haiñ 'shoḳh' faqat kuchh dīvāreñ
vo jab aa jaatā hai to ghar lagtā hai
Top Urdushayar.com