āzmāne ziist kī jab talḳhiyāñ aa jā.eñgī
rū-ba-rū saarī hamārī ḳhāmiyāñ aa jā.eñgī
shart ye hai aap ke hāthoñ sajā.eñ gul-dān meñ
phuul kāġhaz ke bhī hoñ to titliyāñ aa jā.eñgī
be-zabāñ rahne kā saarā lutf hī kho jā.egā
zad meñ āvāzoñ ke jab ḳhāmoshiyāñ aa jā.eñgī
suukh jā.eñge samundar jab bhī bāhar ke kabhī
ghar meñ mere hasratoñ kī machhliyāñ aa jā.eñgī
chilchilātī dhuup meñ vo jab bhī ā.eñge nazar
ek pal meñ shahr meñ phir sardiyāñ aa jā.eñgī
aañkh meñ mahbūb kī shiddat se dekho jhāñk kar
shā.irī kī sab tumheñ bārīkiyāñ aa jā.eñgī
yaad kar ke vasl ke pal kaaT leñge zindagī
darmiyāñ jab bhī hamāre dūriyāñ aa jā.eñgī
asl meñ to tab hī hogā 'shoḳh' us kā imtihāñ
sāmne jab pyaar ke majbūriyāñ aa jā.eñgī