Gulzar

hath chhuTen bhi to rishte nahin chhoDa karte

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
haath chhūTeñ bhī to rishte nahīñ chhoḌā karte
vaqt kī shāḳh se lamhe nahīñ toḌā karte
jis kī āvāz meñ silvaT ho nigāhoñ meñ shikan
aisī tasvīr ke TukḌe nahīñ joḌā karte
lag ke sāhil se jo bahtā hai use bahne do
aise dariyā kā kabhī ruḳh nahīñ moḌā karte
jāgne par bhī nahīñ aañkh se girtīñ kircheñ
is tarah ḳhvāboñ se āñkheñ nahīñ phoḌā karte
shahd jiine kā milā kartā hai thoḌā thoḌā
jaane vāloñ ke liye dil nahīñ thoḌā karte
jā ke kohsār se sar maaro ki āvāz to ho
ḳhasta dīvāroñ se māthā nahīñ phoḌā karte
Top Urdushayar.com