phūloñ kī tarah lab khol kabhī
ḳhushbū kī zabāñ meñ bol kabhī
alfāz parakhtā rahtā hai
āvāz hamārī tol kabhī
anmol nahīñ lekin phir bhī
pūchh to muft kā mol kabhī
khiḌkī meñ kaTī haiñ sab rāteñ
kuchh chauras thiiñ kuchh gol kabhī
ye dil bhī dost zamīñ kī tarah
ho jaatā hai Dāñvā-Dol kabhī