ruke ruke se qadam ruk ke baar baar chale
qarār de ke tire dar se be-qarār chale
uThā.e phirte the ehsān jism kā jaañ par
chale jahāñ se to ye pairahan utaar chale
na jaane kaun sī miTTī vatan kī miTTī thī
nazar meñ dhuul jigar meñ liye ġhubār chale
sahar na aa.ī ka.ī baar niiñd se jaage
thī raat raat kī ye zindagī guzār chale
milī hai sham.a se ye rasm-e-āshiqī ham ko
gunāh haath pe le kar gunāhgār chale