Gulzar

kahin to gard uDe ya kahin ghubar dikhe

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
kahīñ to gard uḌe yā kahīñ ġhubār dikhe
kahīñ se aatā huā koī shahsavār dikhe
ḳhafā thī shāḳh se shāyad ki jab havā guzrī
zamīñ pe girte hue phuul be-shumār dikhe
ravāñ haiñ phir bhī ruke haiñ vahīñ pe sadiyoñ se
baḌe udaas lage jab bhī ābshār dikhe
kabhī to chauñk ke dekhe koī hamārī taraf
kisī kī aañkh meñ ham ko bhī intizār dikhe
koī tilismī sifat thī jo is hujūm meñ vo
hue jo aañkh se ojhal to baar baar dikhe
Top Urdushayar.com