zindagī yuuñ huī basar tanhā
qāfila saath aur safar tanhā
apne saa.e se chauñk jaate haiñ
umr guzrī hai is qadar tanhā
raat bhar bāteñ karte haiñ taare
raat kaaTe koī kidhar tanhā
Dūbne vaale paar jā utre
naqsh-e-pā apne chhoḌ kar tanhā
din guzartā nahīñ hai logoñ meñ
raat hotī nahīñ basar tanhā
ham ne darvāze tak to dekhā thā
phir na jaane ga.e kidhar tanhā