zikr aa.e to mire lab se duā.eñ nikleñ
sham.a jaltī hai to lāzim hai shuā.eñ nikleñ
vaqt kī zarb se kaT jaate haiñ sab ke siine
chāñd kā chhalkā utar jaa.e to qāsheñ nikleñ
dafn ho jaa.eñ ki zarḳhez zamīñ lagtī hai
kal isī miTTī se shāyad mirī shāḳheñ nikleñ
chand ummīdeñ nichoḌī thiiñ to aaheñ Tapkīñ
dil ko pighlā.eñ to ho saktā hai sāñseñ nikleñ
ġhaar ke muñh pe rakhā rahne do sañg-e-ḳhurshīd
ġhaar meñ haath na Daalo kahīñ rāteñ nikleñ