tujh ko dekhā hai jo dariyā ne idhar aate hue
kuchh bhañvar Duub ga.e paanī meñ chakrāte hue
ham ne to raat ko dāñtoñ se pakaḌ kar rakkhā
chhīnā-jhapTī meñ ufuq khultā gayā jaate hue
maiñ na hūñgā to ḳhizāñ kaise kaTegī terī
shoḳh patte ne kahā shāḳh se murjhāte hue
hasrateñ apnī bilaktīñ na yatīmoñ kī tarah
ham ko āvāz hī de lete zarā jaate hue
sī liye hoñT vo pākīza nigāheñ sun kar
mailī ho jaatī hai āvāz bhī dohrāte hue