Gulzar

koi KHamosh zaKHm lagti hai

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
koī ḳhāmosh zaḳhm lagtī hai
zindagī ek nazm lagtī hai
bazm-e-yārāñ meñ rahtā huuñ tanhā
aur tanhā.ī bazm lagtī hai
apne saa.e pe paañv rakhtā huuñ
chhāñv chhāloñ ko narm lagtī hai
chāñd kī nabz dekhnā uTh kar
raat kī saañs garm lagtī hai
ye rivāyat ki dard mahke raheñ
dil kī derīna rasm lagtī hai
Top Urdushayar.com