Gulzar

hum to kitnon ko mah-jabin kahte

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936

ham to kitnoñ ko mah-jabīñ kahte

aap haiñ is liye nahīñ kahte

chāñd hotā na āsmāñ pe agar

ham kise aap hasīñ kahte

aap ke paañv phir kahāñ paḌte

ham zamīñ ko agar zamīñ kahte

aap ne auroñ se kahā sab kuchh

ham se bhī kuchh kabhī kahīñ kahte

aap ke ba.ad aap kahiye

vaqt ko kaise ham-nashīñ kahte

vo bhī vāhid hai maiñ bhī vāhid huuñ

kis sabab se ham āfrīñ kahte

Top Urdushayar.com