Gulzar

gulon ko sunna zara tum sadaen bheji hain

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
guloñ ko sunñā zarā tum sadā.eñ bhejī haiñ
guloñ ke haath bahut sī duā.eñ bhejī haiñ
jo āftāb kabhī bhī ġhurūb hotā nahīñ
hamārā dil hai usī kī shuā.eñ bhejī haiñ
agar jalā.e tumheñ bhī shifā mile shāyad
ik aise dard kī tum ko shuā.eñ bhejī haiñ
tumhārī ḳhushk sī āñkheñ bhalī nahīñ lagtīñ
vo saarī chīzeñ jo tum ko rulā.eñ, bhejī haiñ
siyāh rañg chamaktī huī kanārī hai
pahan lo achchhī lageñgī ghaTā.eñ bhejī haiñ
tumhāre ḳhvāb se har shab lipaT ke sote haiñ
sazā.eñ bhej do ham ne ḳhatā.eñ bhejī haiñ
akelā pattā havā meñ bahut buland uḌā
zamīñ se paañv uThāo havā.eñ bhejī haiñ
Top Urdushayar.com