Gulzar

aisa KHamosh to manzar na fana ka hota

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
aisā ḳhāmosh to manzar na fanā kā hotā
merī tasvīr bhī girtī to chhanākā hotā
yuuñ bhī ik baar to hotā ki samundar bahtā
koī ehsās to dariyā kī anā kā hotā
saañs mausam kī bhī kuchh der ko chalne lagtī
koī jhoñkā tirī palkoñ kī havā kā hotā
kāñch ke paar tire haath nazar aate haiñ
kaash ḳhushbū kī tarah rañg hinā kā hotā
kyuuñ mirī shakl pahan letā hai chhupne ke liye
ek chehra koī apnā bhī ḳhudā kā hotā
Top Urdushayar.com