Gulzar

tinka tinka kanTe toDe sari raat kaTai ki

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
tinkā tinkā kāñTe toḌe saarī raat kaTā.ī kī
kyuuñ itnī lambī hotī hai chāñdnī raat judā.ī kī
niiñd meñ koī apne-āp se bāteñ kartā rahtā hai
kāl-kuñ.eñ meñ gūñjtī hai āvāz kisī saudā.ī kī
siine meñ dil kī aahaT jaise koī jāsūs chale
har saa.e kā pīchhā karnā aadat hai harjā.ī kī
āñkhoñ aur kānoñ meñ kuchh sannāTe se bhar jaate haiñ
kyā tum ne uḌtī dekhī hai ret kabhī tanhā.ī kī
tāroñ kī raushan fasleñ aur chāñd kī ek darāñtī thī
saahū ne girvī rakh lī thī merī raat kaTā.ī kī
Top Urdushayar.com