Gulzar

khuli kitab ke safhe ulaTte rahte hain

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
khulī kitāb ke safhe ulaTte rahte haiñ
havā chale na chale din palaTte rahte haiñ
bas ek vahshat-e-manzil hai aur kuchh bhī nahīñ
ki chand sīḌhiyāñ chaḌhte utarte rahte haiñ
mujhe to roz kasauTī pe dard kastā hai
ki jaañ se jism ke baḳhiye udhaḌte rahte haiñ
kabhī rukā nahīñ koī maqām-e-sahrā meñ
ki Tiile pāñv-tale se sarakte rahte haiñ
ye roTiyāñ haiñ ye sikke haiñ aur dā.ere haiñ
ye ek duuje ko din bhar pakaḌte rahte haiñ
bhare haiñ raat ke reze kuchh aise āñkhoñ meñ
ujālā ho to ham āñkheñ jhapakte rahte haiñ
Top Urdushayar.com