Gulzar

os paDi thi raat bahut aur kohra tha garmaish par

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
os paḌī thī raat bahut aur kohra thā garmā.ish par
sailī sī ḳhāmoshī meñ āvāz sunī farmā.ish par
fāsle haiñ bhī aur nahīñ bhī naapā taulā kuchh bhī nahīñ
log ba-zid rahte haiñ phir bhī rishtoñ kī paimā.ish par
muñh moḌā aur dekhā kitnī duur khaḌe the ham donoñ
aap laḌe the ham se bas ik karvaT kī gunjā.ish par
kāġhaz kā ik chāñd lagā kar raat añdherī khiḌkī par
dil meñ kitne ḳhush the apnī furqat kī ārā.ish par
dil kā hujra kitnī baar ujḌā bhī aur basāyā bhī
saarī umr kahāñ Thahrā hai koī ek rihā.ish par
dhuup aur chhāñv baañT ke tum ne āñgan meñ dīvār chunī
kyā itnā āsān hai zinda rahnā is āsā.ish par
shāyad tiin nujūmī merī maut pe aa kar pahuñcheñge
aisā hī ik baar huā thā iisā kī paidā.ish par
Top Urdushayar.com