Gulzar

dard halka hai sans bhaari hai

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936

dard halkā hai saañs bhārī hai

jiye jaane rasm jaarī hai

aap ke ba.ad har ghaḌī ham ne

aap ke saath guzārī hai

raat ko chāñdnī to oḌhā do

din chādar abhī utārī hai

shāḳh par koī qahqaha to khile

kaisī chup chaman pe taarī hai

kal har vāqi.a tumhārā thā

aaj dāstāñ hamārī hai

Top Urdushayar.com