Gulzar

peD ke patton mein halchal hai KHabar-dar se hain

Gulzar

Dina Jhelum, Punjab, Pakistan

1936
peḌ ke pattoñ meñ halchal hai ḳhabar-dār se haiñ
shaam se tez havā chalne ke āsār se haiñ
nāḳhudā dekh rahā hai ki maiñ girdāb meñ huuñ
aur jo pul pe khaḌe log haiñ aḳhbār se haiñ
chaḌhte sailāb meñ sāhil ne to muñh Dhāñp liyā
log paanī kā kafan lene ko tayyār se haiñ
kal tavārīḳh meñ dafnā.e ga.e the jo log
un ke saa.e abhī darvāzoñ pe bedār se haiñ
vaqt ke tiir to siine pe sambhāle ham ne
aur jo niil paḌe haiñ tirī guftār se haiñ
ruuh se chhīle hue jism jahāñ bikte haiñ
ham ko bhī bech de ham bhī usī bāzār se haiñ
jab se vo ahl-e-siyāsat meñ hue haiñ shāmil
kuchh adū ke haiñ to kuchh mere taraf-dār se haiñ
Top Urdushayar.com