Sakhi Lakhnvi

ishq hai yar ka KHuda-hafiz

Sakhi Lakhnvi

Allahabad, Uttar pradesh, India

1813-1876
ishq hai yaar kā ḳhudā-hāfiz
amr-e-dushvār kā ḳhudā-hāfiz
pech mujh par paḌe jo paḌnā ho
zulf-e-ḳhamdār kā ḳhudā-hāfiz
sar jo Takrātā huuñ to kahte haiñ
merī dīvār kā ḳhudā-hāfiz
sarfaroshoñ kī chashm-e-bad na paḌe
un kī talvār kā ḳhudā-hāfiz
dafn ham ho chuke to kahte haiñ
is gunahgār kā ḳhudā-hāfiz
dasht chhūTā to ābloñ ne kahā
yaañ ke har ḳhaar kā ḳhudā-hāfiz
baat karne meñ hoñT laḌte haiñ
aise takrār kā ḳhudā-hāfiz
bulbuleñ qaid-e-bāġhbāñ ġhāfil
gul-e-zardār kā ḳhudā-hāfiz
gar 'saḳhī' ko hai ishq kā āzār
aise bīmār kā ḳhudā-hāfiz
Top Urdushayar.com