Qamar Jameel

wo baaten ishq kahta tha ki sara ghar mahakta tha

Qamar Jameel

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1927-2000
vo bāteñ ishq kahtā thā ki saarā ghar mahaktā thā
mirā mahbūb jaise gul thā aur bulbul chahaktā thā
safar meñ shaam ho jaatī to dil meñ sham.eñ jal uThtīñ
lahū meñ phuul khil jaate jahāñ ġhuncha chaTaktā thā
kabhī maiñ sarv kī sūrat nazar aatā thā yāroñ ko
kabhī ġhunche kī sūrat apne hī dil meñ dhaḌaktā thā
ḳhudā jaane maiñ us ke saath rahtā thā ki ā.īna
mire parde meñ apne-āp ko hairat se taktā thā
ḳhudā jaane vo kaisā aadmī thā jis ke māthe par
koī bindiyā lagātā thā to ik jugnū chamaktā thā
kabhī rahtā thā us ke saath maiñ us ke garebāñ meñ
kabhī furqat meñ apne aa.ine par sar paTaktā thā
añdherī raat jab sāvan meñ aatī thī to ik bulbul
ḳhudā jaane kahāñ se aa ke mere ghar chahaktā thā
Top Urdushayar.com