Qamar Jameel

kis safar mein hain ki ab tak raste nadida hain

Qamar Jameel

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1927-2000
kis safar meñ haiñ ki ab tak rāste nādīda haiñ
āsmāñ pe sham.eñ raushan haiñ magar ḳhvābīda haiñ
kitnī nam hai āñsuoñ se ye sanam-ḳhāne kī ḳhaak
ye tavāf-e-gul ke lamhe kitne ātish-dīda haiñ
ye gulistāñ hai ki chalte haiñ tamannāoñ ke ḳhvāb
ye havā hai yā bayābāñ ke qadam larzīda haiñ
ek bastī ishq kī ābād hai dil ke qarīb
lekin is bastī ke raste kis qadar pechīda haiñ
aaj bhī har phuul meñ bū-e-vafā āvāra hai
aaj bhī har zaḳhm meñ tere karam poshīda haiñ
aaj ghar ke ā.īne meñ sub.h se ik shaḳhs hai
aur khiḌkī meñ sitāre shaam se pechīda haiñ
rahguzar kahtī hai jaag ai māhtāb-e-shām-e-yār
ham sar-e-bāzār chalte haiñ magar ḳhvābīda haiñ
aa.ine meñ kis kī āñkheñ dekhtā huuñ maiñ 'jamīl'
do kañval haiñ beach paanī meñ magar nam-dīda haiñ
Top Urdushayar.com