shaiḳh ke ghar ke sāmne āb-e-harām Daal duuñ
jām-o-subū kī aag meñ apnā kalām Daal duuñ
shahr ke is hujūm meñ jiine kā hausla rakhūñ
apne junūñ kī aag meñ shahr kī shaam Daal duuñ
sub.h se kuchh ajiib ġham dasht meñ haiñ hamāre saath
in ke saroñ pe maiñ zarā chādar-e-shām Daal duuñ
bistar-e-marg par mujhe jiine ke ḳhvāb de ga.e
jā.ūñ unhī ke sāmne un kā kalām Daal duuñ
aaj shab-e-visāl hai dekheñge aap hijr bhī
aag jalā ke ishq kī is meñ davām Daal duuñ