shaam ajiib shaam thī jis meñ koī ufaq na thā
phuul bhī kaise phuul the jin ko suḳhan kā haq na thā
yaar ajiib yaar thā jis ke hazār naam the
shahr ajiib shahr thā jis meñ koī tabaq na thā
haath meñ sab ke jild thī jis ke ajiib rañg the
jis pe ajiib naam the aur koī varaq na thā
jaise adam se aa.e hoñ log ajiib tarah ke
jin kā lahū safed thā jin kā kaleja shaq na thā
jin ke ajiib taur the jin meñ koī kiran na thī
jin ke ajiib dars the jin meñ koī sabaq na thā
log kaTe hue idhar log paḌe hue udhar
jin ko koī alam na thā jin ko koī qalaq na thā
jin kā jigar siyā huā jin kā lahū bujhā huā
jin kā rafū kiyā huā chehra bahut adaq na thā
kaisā tilismī shahr thā jis ke tufail raat bhī
mere lahū meñ gard thī ā.īna-e-shafaq na thā