saaya nahīñ hai duur tak saa.e meñ aa.eñ kis tarah
ham aa ga.e haiñ kis taraf tum ko batā.eñ kis tarah
ye phuul patte chāñdnī ye sūrateñ man-mohnī
aise meñ apnī jāñkanī un se chhupā.eñ kis tarah
aalam bahārāñ kā sahī manzar gulistāñ kā sahī
bastī bayābāñ kī sahī dāman bachā.eñ kis tarah
jis phuul kī har pañkhuḌī hotī hai motī kī laḌī
us phuul kī ḳhātir kabhī aañsū bahā.eñ kis tarah