Qamar Jameel

aasman par ek sitara sham se betab hai

Qamar Jameel

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1927-2000
āsmāñ par ik sitāra shaam se betāb hai
merī āñkhoñ meñ tumhārā ġham nahīñ hai ḳhvāb hai
raat dariyā ā.īne meñ is tarah aayā ki maiñ
ye samajh kar so gayā dariyā nahīñ ik ḳhvāb hai
kāmanī sūrat meñ bhī ik aarzū hai mahv-e-ḳhvāb
sāñvlī rañgat meñ bhī ik vasl kā kam-ḳhvāb hai
merī ḳhātir kuchh sunahrī sāñvlī miTTī bhī thī
varna us kā jism saarā raushnī kā ḳhvāb hai
āsmāñ ik bistar-e-sanjāb lagtā hai mujhe
aur ye qaus-e-quzah jaise koī mehrāb hai
kis ke istiqbāl ko uTThe the dīvānoñ ke haath
kis ke mātam ko yahāñ ye majma-e-ahbāb hai
yā allahabad meñ rahiye jahāñ sañgam bhī ho
yā banaras meñ jahāñ har ghaaT par sailāb hai
is nahañg-e-tishna se zor-āzmā ho kar 'jamīl'
bhuul mat jaanā ki aage bhī vahī girdāb hai
Top Urdushayar.com