dast-e-junūñ meñ dāman-e-gul ko laane kī tadbīr kareñ
narm havā ke jhoñko aao mausam ko zanjīr kareñ
mausam-e-abr-o-bād se pochheñ lazzat-e-sozāñ kā mafhūm
mauja-e-ḳhūñ se dāman-e-gul par harf-e-junūñ tahrīr kareñ
āmad-e-gul kā vīrānī bhī dekh rahī hai kyā kyā ḳhvāb
vīrānī ke ḳhvāb ko aao vahshat se ta.abīr kareñ
raat ke jaage sub.h kī halkī narm havā meñ so.e haiñ
dekheñ kab tak niiñd ke maate uThne meñ tāḳhīr kareñ
tanhā.ī meñ kāhish-e-jāñ ke hāthoñ kis ārām se haiñ
kaise apne naaz uThā.eñ kyā apnī tahqīr kareñ
betābī to ḳhair rahegī betābī kī baat nahīñ
marnā itnā sahl nahīñ hai jiine kī tadbīr kareñ
ghuum rahe haiñ dasht-e-junūñ meñ un ke kyā kyā ruup 'jamīl'
kis ko dekheñ kis ko chhoḌeñ kis ko jā ke asiir kareñ