Qamar Jameel

hum ki majnun ko dua kahte hain

Qamar Jameel

Sikandarpur, Uttar pradesh, India

1927-2000
ham ki majnūñ ko duā kahte haiñ
rū-e-lailā ko sabā kahte haiñ
kitnī afsurda hai ye shām-e-bahār
jis ko ham taaza havā kahte haiñ
apnī āñkhoñ meñ na jaane kab kā
ḳhvāb hai jis ko ḳhudā kahte haiñ
phuul meñ us kā lahū bahtā hai
chāñd ko us kī qabā kahte haiñ
unhī ḳhūbāñ kī hathelī pe raho
is liye tum ko hinā kahte haiñ
ham vo pāband-e-vafā haiñ ki tujhe
ab bhī be-mehr-o-vafā kahte haiñ
sher kahte haiñ ġhazal ke ya.anī
ḳhvāb ko ḳhvāb-numā kahte haiñ
Top Urdushayar.com