sab iḳhtiyār merā tuj haat hai pyārā
jis haal suuñ rakhegā hai o ḳhushī hamārā
nainā anjhūñ suuñ dho.ūñ pag ap palak suuñ jhāḌūñ
je kuī ḳhabar so liyāve mukh phuul kā tumhārā
but-ḳhāne nayan tere hor but nayan kiyāñ putliyāñ
muj nayan meñ pujārī puujā adhān hamārā
us putliyāñ kī sūrat kuī ḳhvāb meñ jo dekhe
raskh aa.e muj kare mat koī sajda us davārā
tuj ḳhayāl kī havas the hai ji.u haman so zinda
o ḳhayāl kad na jaave ham sar the Tuk bahārā