Quli Qutub Shah

azal the hai muje KHuban sun iKHlas

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
azal the hai muje ḳhūbāñ suuñ iḳhlās
abad lag muj hai mahbūbāñ suuñ iḳhlās
agar tuuñ āshiq-e-sādiq hai tālib
na kar tuuñ baaj matlūbāñ suuñ iḳhlās
sakī kā husn kiitā jazb-e-maulūd
usī te muj hai majzūbāñ suuñ iḳhlās
piyārī ke chhañdāñ hai sab kuuñ marġhūb
muje lāzim hai marġhūbāñ suuñ iḳhlās
jo hai maktūb mānind ḳhāl-o-ḳhat suuñ
dharūñ maiñ us the maktūbāñ suuñ iḳhlās
nayan naarī ke qullābe haiñ mash.hūr
dharūñ maiñ us the maqlūbāñ suuñ iḳhlās
nabī sadqe qutub-shah kak-jihat
sadā dhartā hai tū ḳhūbāñ suuñ iḳhlās
Top Urdushayar.com