Quli Qutub Shah

nazar taj pe hai kya tamasha ka hajat

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
nazar taj pe hai kyā tamāshā kā hājat
nahīñ sabz ḳhat aage champā kā hājat
tabībāñ kareñ munj kuuñ baalī suuñ daarū
ki baalī haiñ mohan hai baalā kā hājat
hamīñ neshakar namne hilje haiñ band meñ
nahīñ hor hamnā kuuñ jaalā kā hājat
ḳhumārī nayan the khile phuul jiiv meñ
nahīñ mo ko duunā o baalā kā hājat
mirā dil hai zar-baft kā kārḳhāna
nahīñ munj kuuñ bāzār vaalā kā hājat
tū kahniyāñ kitābāñ ke jiiv meñ likhyā huuñ
muammā hai niiñ khol kahnā kā hājat
añgūThī sulaimāñ kī tuj haat meñ hai
sikandar ke darpan ujālā kā hājat
mirā dil kuñdan husn kā khaan hai tū
nahīñ hai sunārī taqāzā kā hājat
haman mudda.ā mudda.ī nā bujhe kuch
nako bahs karnīñ hai a.adā kā hājat
'ma.ānī' tirā zar-garī kui na būjheñ
ki is ilm meñ niiñ hai daanā kā hājat
Top Urdushayar.com