Quli Qutub Shah

kal munj wazir dil the qasid bashaarat aaya

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
kal munj vazīr dil the qāsid bashārat aayā
yā hazrat-e-sulaimāñ kan the ishārat aayā
ḳhush-nain niir setī tan ḳhaak kuuñ galāvo
dil ke mañdhir kuuñ sir the vaqt-e-imārat aayā
merā sau aib Dhāñko ai mai suuñ bhīge kapḌe
o pāk-dāman aapī hamnā bachārat aayā
munj yaar husn the je bole haiñ bātāñ behad
yak baab hai so un meñ jo is ibārat aayā
jaagā so har yakas kā hovegā aaj pragaT
o chhand bhryā so chandā baiThan sadārat aayā
jam ke so taḳht uupar je taaj suur chand hai
chimTe kī dekho himmat jo is haqārat aayā
us shoḳh diid the yuuñ īmāñ apas sambhāleñ
o sāhir-e-kamāñ-dār karne so ġhārat aayā
'qubtā' tuuñ daas shah kā jam faiz us the māñgeñ
saudā hai tuj param sab vaqt-e-tijārat aayā
Top Urdushayar.com