sakī tuj zulf hai jīvāñ ke āḳhiz
dasan tere aheñ ratnāñ ke āḳhiz
tirī naināñ the panche haiñ mantar sab
tire nāzāñ haiñ sab suthrāñ ke āḳhiz
sahe tuj siis parāñchal sahelī
sahe sab āshiq-e-dar vaañ ke āḳhiz
tirī putliyāñ bhalā.iyāñ haiñ jagat kuuñ
nayan do mast haiñ mastāñ ke āḳhiz
nakhāñ mere haiñ tuj joban ke mushtāq
adhar mere tire bosiyāñ ke āḳhiz
alī nānvāñ o kahiyā yū ġhazal 'qutub'
alī nānvāñ haiñ sab kāmāñ ke āḳhiz