Quli Qutub Shah

madan mast badal mast kajan mast pari mast

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
madan mast badal mast kajan mast parī mast
huī mast pavan mast lagan mast parī mast
chaḌhī mast bahī mast Dalī mast rahī mast
mukhā mast sadā mast sahn mast parī mast
khaḌī mast añchal mast Dhalī mast oḌhī mast
gazak mast nuqal mast bachan mast parī mast
parī mast pivan mast surā mast hui mast
milī mast khijī mast rasan mast parī mast
khupā mast phulāñ mast kajal mast khulī mast
laTāñ mast nayan mast dekhan mast parī mast
tilā mast turā mast dharī mast dhaḌī mast
shakar mast chuman mast hañsan mast parī mast
cholī mast khulī mast kamal mast bhañvar mast
'qutub' mast karī mast yuvan mast parī mast
Top Urdushayar.com