Quli Qutub Shah

KHabar liyaya hai hudhud mere tain us yar-e-jaani ka

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
ḳhabar liyāyā hai hudhud mere ta.iiñ us yār-e-jānī kā
ḳhushī kā vaqt hai zāhir karūñ rāz-e-nihānī kā
mire jiiv aarsī meñ ḳhyāl tuj mukh kā so distā hai
kare uu ḳhayāl munj dil meñ nishānī zar-fishānī kā
chitā ho ishq ke jañgal meñ baiThā hai darī le kar
liyā hai jhāñp suuñ aahū naman dil munj āyānī kā
ḳhudā kā shukr hai tuj saltanat the kaam paayā huuñ
dannadī dushman ke mukh par piyūtā mai arġhuvānī kā
chhabīle mast saaqī ke pichheñ dauḌe sau maḳhmūrāñ
pilāo mai havā ab to huā hai gul-fishānī kā
hameñ haiñ ishq ke pannath meñ dono aalam the be-parvā
lagyā hai daaġh munj dil par us hindostānī kā
paḌe dumbāl meñ mere so us naināñ ke dumbāle
ḳhudāyā ishq mushkil hai bharam rakh tuuñ ma.ānī kā
Top Urdushayar.com