Quli Qutub Shah

piya ka ishaq hai mera yar-e-jaani

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
piyā kā ishaq hai mirā yār-e-jānī
bin us neh kuuñ jiiv kar maiñ na jaanī
mohabbat hai munj jiiv chaman kā so merā
prit phuul rañg rañg ke us kī nishānī
hue āshiqāñ ruup laila na majnūñ
vale huī hamāre vaqat uu kahānī
ishaq panth meñ jin na betāb hove
use āshiqāñ kiiñ nahīñ o siyānī
mohabbat kī sultānī hai sab jagat meñ
ki us sam nahīñ koī gyānī-o-dānī
samaj se na har koī maan.e prit ke
nahīñ fahm har kas kuuñ maiñ ai pachānī
nabī sadqe 'qubtā' kuuñ bin sā.īñ mukh bin
nahīñ destā hor mukh yuuñ nūrānī
Top Urdushayar.com