Quli Qutub Shah

saki mukh safhe par tere likhya raqim malak misra

Quli Qutub Shah

Golkonda, Telangana, India

1580-1611
sakī mukh safhe par tere likhyā rāqim malak misrā
ḳhafī ḳhat suuñ likhyā nāzuk tire donoñ palak misrā
qalam le kar jalī likhyā jo kuī bhī nā sakeñ likhne
likhyā hai vo kadhin mukh tere safhe par alak misrā
sū likh likh kar pareshāñ ho qalam laT aap kahte haiñ
muqābil uus ke hose na likheñge gar do lak misrā
bazāñ kar dekh mukh dhun kā davānī ho bahāne suuñ
kiye sab ḳhush-navesāñ saT qalam likh na.iiñ na sak misrā
qalam mukhḌe suuñ nāsik le likhe hai lab ko surḳhī suuñ
jo kuī bhī dekh kahte haiñ likhyā hai kyā ḳhubak misrā
sakī ke kuch pe nāzuk ḳhat na būjhe koī kine likhyā
'qutub' kuuñ pūchhe tū yuuñ ke likhyā hai merā nak misrā
Top Urdushayar.com