kab talak kirchiyāñ chunūñgī maiñ
sañg-dil tujh se laḌ paḌūñgī maiñ
merī āñkheñ nahīñ rahīñ lekin
aa.ina dekhtī rahūñgī maiñ
maañ ke naqsh-e-qadam pe chalnā hai
sirf guḌiyā nahīñ rahūñgī maiñ
khīñch kar ik lakīr udāsī kī
rañg manzar meñ kuchh bharūñgī
lafz ab rā.egāñ na hoñge mire
in se phir zaḳhm-e-dil siyūñgī maiñ