dil jo tesha-zanī pe maa.il hai
kuchh na kuchh rāste meñ haa.il hai
tū jo hairat-zada nahīñ hotā
tū mirī guftugū kā qaa.il hai
maiñ musāfir huuñ kohna rasmoñ kī
mere aage rah-e-qabā.il hai
kyā sunā.ūñ maiñ hāl-e-dil ki ye dil
terī kaj-fahmiyoñ se ghāyal hai
raqs kartā hai harf harf mirā
mere lahje meñ kaun paa.il hai
mere pairoñ ko Dasne vaalā saañp
merī gardan meñ kyuuñ hamā.il hai