Bilqees Khan

ghar mein jab beTiyan nahin hongi

Bilqees Khan

Mianwali, Punjab, Pakistan

1987
ghar meñ jab beTiyāñ nahīñ hoñgī
peḌ par Tahniyāñ nahīñ hoñgī
ġham se samjhautā kar liyā dil ne
ab yahāñ siskiyāñ nahīñ huuñ
maiñ ki daur-e-jadīd kī laḌkī
paañv meñ beḌiyāñ nahīñ hoñgī
vāpsī kā hai sochnā be-sūd
ab jalī kashtiyāñ nahīñ hoñgī
ab diyoñ ko bachānā vājib hai
āñdhiyāñ mehrbāñ nahīñ hoñgī
bārishoñ ke safar pe nikle ho
sar pe ab chhatriyāñ nahīñ hoñgī
ye musalsal raheñgī mere saath
hijr meñ chhuTTiyāñ nahīñ hoñgī
dast-o-bāzū banā hai bhaa.ī mirā
koshisheñ rā.egāñ nahīñ hoñgī
yā qalam TuuT jā.egā 'bilqīs'
yā mirī uñgliyāñ nahīñ hoñgī
Top Urdushayar.com