Bilqees Khan

chali jo piya ki gali dhire dhire

Bilqees Khan

Mianwali, Punjab, Pakistan

1987
chalī jo piyā kī galī dhīre dhīre
mirī aañkh kyuuñ nam huī dhīre dhīre
ubhartā gayā mujh meñ vo lamha lamha
maiñ tahlīl hotī ga.ī dhīre dhīre
na baisākhiyoñ kā sahārā liyā hai
maiñ paañv pe chaltī rahī dhīre dhīre
do-pahreñ makānoñ meñ phailī huī haiñ
meñ saa.e sī baḌhtī huī dhīre dhīre
mirā zabt baḌhtā chalā jā rahā hai
maiñ parchhā.īñ maañ kī banī dhīre dhīre
tirī yaad bhī jaise aarī hai koī
mire dil pe chaltī huī dhīre dhīre
havā-e-zamāna muḳhālif thī lekin
maiñ parvāz kartī rahī dhīre dhīre
Top Urdushayar.com