Bilqees Khan

apni jang hi laDti hai

Bilqees Khan

Mianwali, Punjab, Pakistan

1987
apnī jañg hī laḌtī hai
laakh kaho vo bāġhī hai
baap ke zinda rahne tak
har beTī shahzādī hai
rāhat jis ko kahte haiñ
maañ kī god meñ hotī hai
ab samjheñge dukh merā
ab un kī bhī beTī hai
tez havā kī jaane balā
peḌ pe jo bhī guzartī hai
tum ho falak kab samjhoge
dhartī kyā kuchh sahtī hai
ġham kī maujoñ meñ dil kī
naav bahtī jaatī hai
ek hī shaḳhs ko chāho sadā
ye kaisī majbūrī hai
Top Urdushayar.com