tumhārī yaad kā ik dā.era banātī huuñ
phir is meñ rahne kī koī jagah banātī huuñ
vo apne gird uThātā hai roz dīvāreñ
maiñ us kī samt nayā rāsta banātī huuñ
zamāna baḌh ke vahī peḌ kaaT detā hai
maiñ jis kī shāḳh pe ik ghoñsla banātī huuñ
vo ghol jaatā hai nafrat kī talḳhiyāñ aa kar
maiñ chāhatoñ kā nayā zā.iqa banātī huuñ
ḳhayāl-o-harf taġhazzul meñ Dhaal kar 'bilqīs'
maiñ apne dard sabhī ġhazliya banātī huuñ