Bilqees Khan

ishq dariya hai giran-bar na jaane koi

Bilqees Khan

Mianwali, Punjab, Pakistan

1987
ishq dariyā hai girāñ-bār na jaane koī
bahte paanī ko gunahgār na jaane koī
is meñ rūhoñ kī mulāqāt huā kartī hai
ḳhvāb ke pyaar ko be-kār na jaane koī
maiñ jo hālāt ke dhāre meñ bahī jaatī huuñ
mujh ko lahroñ kā taraf-dār na jaane koī
sar jhukāyā hai mohabbat meñ mohabbat ke liye
is mohabbat ko mirī haar na jaane koī
maiñ yūñhī vaqt-guzārī ko chalī aa.ī huuñ
mujh ko ḳhvāboñ kā ḳharīdār na jaane koī
mujh ko hālāt kī talḳhī ne kiyā hai barham
merī guftār ko talvār na jaane koī
yaad aate hī ġhazal bantī hai merī 'bilqīs'
sā.at-e-hijr ko āzār na jaane koī
Top Urdushayar.com