ġhurūr-o-nāz-o-takabbur ke din to kab ke ga.e
zahīr ab vo zamāne hasab-nasab ke ga.e
bahut ġhurūr gulistāñ meñ thā gulāboñ ko
tumheñ jo dekhā to hosh-o-havās sab ke ga.e
machā hai shor ḳhizāñ kā hai ruḳh usī jānib
agar ye sach hai to samjho ki ham bhī ab ke ga.e
ḳhulūs se na sahī rasm hī nibhāne ko
tum aa ga.e ho to shikve tamām lab ke ga.e
vo chāñdnī vo tabassum vo pyaar kī bāteñ
huī sahar to vo manzar tamām shab ke ga.e
kabhī to halqa-e-zanjīr-e-yās bhī TuuTe
kabhī to lauT ke aa.eñ vo lamhe jab ke ga.e