jo zehn o dil meñ ikaTThā thā aas kā paanī
use bhī le gayā saath apne yaas kā paanī
maiñ le ke aayā thā ham-rāh jin ko dariyā tak
vo log pī ga.e merī bhī pyaas kā paanī
kab apne shahr meñ sailāb aane vaalā thā
hameñ Dubo ke gayā ās-pās kā paanī
hazāroñ aib chhupāne ko lag ke duniyā meñ
badan pe rakhte haiñ zarrīñ libās kā paanī
ajiib vaqt hai zāhid ko bhī 'zahīr' ab to
sharāb lagtā hai mere gilās kā paanī