raat bhar furqat ke saa.e dil ko dahlāte rahe
zehn meñ kyā kyā ḳhayāl aate rahe jaate rahe
saiñkaḌoñ dilkash bahāreñ thiiñ hamārī muntazir
ham tirī ḳhvāhish meñ lekin Thokareñ khāte rahe
umr bhar dekhā na apne chāk-e-dāman kī taraf
bas tirī uljhī huī zulfoñ ko suljhāte rahe
jin kī ḳhātir pī ga.e rusvā.iyoñ kā zahr bhī
vo bharī mahfil meñ ham par tanz farmāte rahe
terī ḳhātir ishq meñ barbād honā thā hue
ham na maane log ham ko laakh samjhāte rahe